Ji han! “Balance Sheet” ab Release ho chuka hai.
Is feature ke sath, Vyapar App aapki in chizon mein madad karta hai –
- Aapke vyavsay ki aarthik sthiti ko samjhne mein madad karta hai taki aap behtar nirnay le payen.
- Aapke vyavsay mein hone wale karyon ko behtar karta hai, udhar lene ki sambhavnaon ko badhata hai aur iske sath hin aapke vyavsay ke sampoorn aarthik vyavastha ko behtar banata hai.
Is feature ko paane ke liye, Vyapar App ko latest version (13.3.0) mein upgrade karen.
Desktop version ke liye –
NOTE: maujuda grahakon ko apne business data ki chinta karne ki koi avashyakta nahin hai. Aapka data wahi rahega. Halanki fir bhi hum application ko download aur reinstall karne se pahle data ka backup lene ka sujhav dete hain.
Mobile Version ke liye –
Balance Sheet kya hai?
Balance sheet ek aisi report hai jo aapke business ke financial balances ko sankshipt mein darshati hai. Aap iska istemal apne business ki aarthik sthirta aur business ki pragati ko dekhne ke liye kar sakte hain.
Balance sheet mein 3 mahatvapurn chizen hoti hain:
- Assets (sampatti) – aapke business ki har wo chiz jiske aap malik hain aur jiska kuch muly hai.
- Liabilities – har wo chiz jise aapko kise dusre ko dena hai.
- Equity/Capital – waise assets jo aapke paas hai par unpar koi debt ya dusri libilities hai ya ho sakti hai.
Business ke liye balance sheet mahatvapurn kyun hai?
Balance sheet aapke business ko betar roop mein darshata hai. Jab aapka business lagatar chal rha hota hai to balance sheet ki madad se yah dekhna asan ho jata hai ki har roz kitne rupay aa rhe hain ya kitne rupay ja rahe hain, aap apne bills de payenge ya nahi de payenge. Balance sheet kisi bhi diye gaye samay mein aapke business ki pragati ko darshata hai.
Yahan kuch aise karan diye gaye hain jiski wajh se balance sheet aapke business ke badhotri keliye bahut hi aavashyak hai.
Apne business ke balance sheet ko Vyapar App ki madad se aasani se generate karen.
Balance Sheet mein yah sari chizen hoti hai.
Vyapar App par maujud balance sheet mein diye anubhag (sectipons) aur up-anubhag (sub-sections) ki jaankari yahan di gayi hai.
Anubhag (Section) | Up-Anubhag(Sub-Section) | Vyakhya (Description) |
Maujuda Sampatti(Current Assets) | Nakad jo aapke pas hain(Cash in hand) | Aapke business mein us din ke maujuda kul amount ko darshata hai. |
Bank Accounts | Bank accounts jo aapke paas hai aur usmein jo rupay hain use darshata hai. | |
Cheques jinhen jama nahin karaya gya(Undeposited Cheques) | Un sabhi cheques ka jod jo abhitak jama nahi karaya gya hai. | |
Khaata praapy / vividh denadaar(Account Receivable / Sundry Debtors) | Un sabhi amount ko darshata hai jo aapko sabhi parties se leni hai. | |
Anya maujuda sampatti(Other Current Assets) | Inventory jo aapke paas hai(Inventory on Hand) | Aapke inventory mein jitne bhi items hain unke stocks ke mulya ka jod. |
Maujuda Liability(Current Liability) | Dey khaaton / vividh lenadaaron(Accounts Payable / Sundry Creditors) | Yah darshata hai ki aapko parties ko kitne rupay dene hain.
|
Tax jo dena hai(Tax Payable) | Un sabhi tax ka jod jo aapko dena hai.
Kul tax jo dena hai = kul tax jo collect kiya gya – clain karne wala Input Tax Credit(Tax payable = Total Tax collected – Input Tax Credit to Claim). |
|
Equity/Capital | Equity ka shuruwati balance(Opening Balance Equity) | Sabhi stock item ke us balance ko darshata hai jo shuruwat mein tha. |
Maalik ki equity (Owners equity) | Business ke assets mein maalik ke hisse ke assets ko darshata hai. | |
Kamayee jo aap bacha sake(Retained Earnings) | Un sabhi kamayee ka jod jo aapne pichle vitt varsh mein kamaya hai. | |
Shuddh aay (Net Income) | Yah profit (munafa) aur loss(nuksan) ke report ki antim suddh aay hogi. |
Naye Business tips ke updates ke liye jude rahen Vyaparapp.in par
Download Karen BEST Free Billing Software
Happy Vyaparing!!!