E way bill kya hai?
GST ke antergat jo bhi Rs. 50,000 se adhik mulay ke saman ko ek jagah se dusre jagah transport karte hain, unke paas eWay bill hona chahiye. GST eWay bill ko eWay Bill Portal se generate kiya jata hai.
*E way bill ki madad se rajya me aane aur rajya se jane wale saman par nazar rakhi jati hai taki tax evasion ko check kiya ja sake.
Exemptions (jinhen chhut hai):
Aapko nimnlikhit paristhitiyon mein E-way bill ki shyad jarurat nahin hogi:
- Agar bheje gaye saman ki kimat <Rs. 50,000 hai.
- Jab bheja gya saman GST ke dayre mein nahin aata.
E way bill kise generate karna chahiye?
Aap shayad yah bhi padhna chahenge:
Agar Aapne GSTR-3B File Nahin Kiya Hai To Aapko eWay Bill Nahi Milega
E-way bill kab generate karna chahiye?
Saman ko bhejne se pehle hi e-way bill generate kiya jata hai. Niche di gayi 2 paristhition mein saman ki kimat Rs. 50,000 se kam hone ke bawjud bhi e-way bill generate karna anivary hota hai:
- Jab principal supply ke antergat ek rajya se dusre rajya mein saman bheja jaye.
- Jab ek hin rajya mein handicraft goods (haath se bane saman) ko kisi aise vyakti dwara supply kiya jaye jise GST ke antergat panjikaran karana anivary nahin hai.
Naye Business tips ke updates ke liye jude rahen Vyaparapp.in par
Download Karen BEST Free Billing Software
Happy Vyaparing!!!