Agar aap ek aise kardata hain jo GSTR1, GSTR 2, GSTR 3 niyamit taur par file karte hain to aapko vitt varsh 2017-18 ke liye December 31st, 2019 tak GSTR-9 file karna anivary hai.
Aap shyad yah bhi padhna chahenge:
E-way Bill Kya Hai? Ise Kab Aur Kise Generate Karna Chahiye?
GSTR 1 Kya Hai? Kise File Karna Chahiye, Kaise File Karte Hai, Due Dates Aur Late File Karne Ki Fees
Yah rahe 6 asan step GSTR-9 online file karne ke liye:
Step 1: GST portal par Login karen -> Returns Dashboard -> Annual Return.
‘File Annual Returns’ page mein ‘Financial year’ (vitt varsh) chunen. Ek message aayega jisme Online/Offline GSTR-9 file karne ke steps diye honge. ‘Prepare Online’ par click karen.
Step 2: agar aap vitt varsh ke liye Nil return file karna chahte hain to ‘Yes’ par click karen nahin to ‘No’ par click karen.
Aapko nimnlikhit paristhitiyon mein Nil return file karna hoga
- Agar aap ‘Yes’ chunte hain NIL return file karne ke liye to fir ‘Next’ par click kare liabilities ko compute karne ke liye aur NIL GSTR-9 file karne ke liye.
- Agar aap ‘No’ chunte hain NIL return ke liye to ‘Next’ par click karen, ‘GSTR-9 Annual return aam kardataon ke liye’ page aapke saamne aayega. Ismein aapko kayi saari jaankari bharni hogi.
Sabhi download karen:
Isme aapko wah sari jaankari mil jayegi jo aapko GSTR-9 file karne ke liye chahiye hogi.
Aap shayad yah bhi padhna chahenge:
Step 3: vitt varsh ke liye jaruri jaankariyan bharen
A.Title: advances ki jaankari, vitt varsh mein ki gayi inward aur outward supplies jispar tax dena hai – Table 4N
1.Title par click karen. GSTR-1 aur GSTR-3B mein di gayi jaankari ke adhar par jaankariyan apne aap hin bhar di jayegi.
2.Tax values ko add/edit karen. Agar pahle se bhari jankari mein +/- 20% ka fark hai to use dharshaya jayega aur ek confirmation ka message milega.
3.Jaankariyon ko apnane ke liye ‘Yes’ par click karen.
4.Badlaav ko safaltapurvak save karne ka ek confirmation message milega.
5.GSTR-9 Dashboard par wapas jayen. 4N wala tile updated milega.
Ab niche diye gaye table ko isi step ki madad dwara bharen aur badlaav ko save karen:
Step 4: Preview GSTR-9
Aap form ka preview PDF/Excel format mein dekh sakte hain
PDF format mein preview ke liye:
1.GSTR-9 dashboard mein preview GSTR-9 (PDF) par click karen.
2.Ek draft download kiya jayega aur agar aapko kisi badlav ki avashyakta lagti hai to aap use online GSTR-9 mein kar sakte hain aur draft ko dobara generate kar sakte hain.
-Excel format mein preview ke liye:
- GSTR-9 dashboard mein preview GSTR-9 (Excel) par click karen.
- Ek draft download kiya jayega aur aap ek link dekh payenge.
- Zip file ko download karne wali link par click karen aur aap yahan se sankshipt GSTR-9 excel format mein extract kar sakte hain.
- Draft ko achhe se jaanch le aur agar aapko kisi badlav ki avashyakta lagti hai to aap use online GSTR-9 mein kar sakte hain aur draft ko dobara generate kar sakte hain.
Step 5: tax liabilities aur penalties ginen
Compute liabilities par click karne se aapki sabhi jankari ko process kar diya jayega. Koi bhi late fees (agar file karne mein deri hui hai to) hogi to use bhi jod diya jayega.
Filing ki prakriya ko aage badhane ke liye aapko ek confirmation aayega.
Aap electronic cash ledger mein uplabdh funds se payment kar sakte hain. Agar ledger mein funds paryapt nahin hai to aap baki bache payment dusra payment challan banakar Netbanking ke madhyam se bhi kar sakte hain.
Note: jabtak late fees nahin bhari jayegi tab tak aap GSTR-9 file nahin kar payenge.
Step 6: File GSTR-9
1.Declaration checkbox ko select karen aur uske baad ‘Authorised Signatory’ ko select karen.
2.‘File GSTR-9’ par click karen.
3.Application ko submit karne ke liye 2 vikalp aayenge:
4. A. DSC ke sath file karen: certificate ko dhundhen aur select karen. Sign kar ke submit karen.
5. B. EVC ke sath file karen: aapke registered mobile number aur email ID par ek OTP bheja jayega. OTP daalen. Agar safal rha to return ka status ‘Filed’ mein badal diya jayega.
Aap shyad yah bhi padhna chahenge:
Agar Aapne GSTR-3B File Nahin Kiya Hai To Aapko eWay Bill Nahi Milega
Naye Business tips ke updates ke liye jude rahen Vyaparapp.in par
Download Karen BEST Free Billing Software
Happy Vyaparing!!!